Home >> Shayari >> Sad hindi shayari
Kaash tujhe na payaa hota
Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati
Har dhadkan mein ek raaz hota hai
Har dhadkan mein ek raaz hota hai
har baat ko batane ka ek andaz hota hai
jab tak thokar na lage bewafai ki
har kisi ko apne pyaar par naaz hota hai
Meri arthi ke sath jayegi
Ayegi wo suhani raat
meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat
Jab uthe arthi meri
To nazre jhuka lena
Jab main na rahu is duniya me
to Kisi aur se dil laga lena
Mere khuda bas tu itna reham kar de
Mere khuda bas tu itna reham kar de
Dil ye mera tu pathar kar de
seh na payenge hum yaar ki judaai
Uske rukhsat se pehle mujko dafan kar de
Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe
Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe,
Par behaya bhi hai iss-se hum anjaan the.
Teri bholi surat pe kai baar qurbaan hue hum,
Shayad dil masoom tha hum nadan the.
Yeh aashiq unke shayad
Yeh aashiq unke shayad kabil na tha
Is aashiq me shayad woh dil na tha
Yeh pagal bhi pari se pyaar kar baitha
Jo kabhi bhi use haasil na tha
Khwaab aankhon mein tha
Khwaab aankhon mein tha
par sabko dikhaya na gaya
Lab pe ek naam tha
Jubaan pe kabhi layaa na gaya
Range the jigar se mere
usne apne haath
Par heena se meri
Hatheli ko sajaaya na gaya
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai
kyun roti hai kambakht yeh ankhe
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai
Zindagi kya koi nisaar kare
Zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare
Dil toh hoga par na hogi usme jaan
Dil toh hoga par na hogi usme jaan
Saanse toh hogi par na hoga armaan
Hum rahenge yahi par na hoga aashiyaan
Jabse humne likh di hai rusvayi ki daastaan
Page: 1 2    Next »
 
Email Friend/BookMark
Email Friend/BookMark
Categories
 
 

Friends - Easily Go - Go Easily - Mobile sms world - Jokes and sms - Od Rajput - Oad Rajput - Mail Adda - Glitz Technology - Safety Secure Concept